Archive for the ‘Ghazal’ Category

Na Ho…

Posted: April 14, 2015 in Ghazal, Urdu Poetry
Tags:

Itna Aa Qareeb K Jee Bhar K Dekh Lo…

Shaid K Phir Milo To Ye Zoq-E-Nazar Na Ho…

Yon Utro Mere Dil Mein Ankhon K Raste…

Mujhi Mein Sama Jao, Nazar Ko Khabar Na Ho…

Muddat Hui Mile Nahi Hain Ik Dusre Se Ham…

Aaj Sab Gilay Mita Do, Koi Shikwa Phir Na Ho…

Mere Samne Betho Raho, Main Takta Rahon…

Ruk Jaye Kash Waqt, Taloo-E-Sahar Na Ho…

Kar Lo Mujh Se Wada, Mere Ho Bus Mere…

Jab Sath Mera Do To Zamane Ka Darr Na Ho…

Aaye Ho Ab K Jo Tum To Ek Shab Qayam Hi Kar Lo…

Shaid Phir Guzar Ho To Mera Ghar Na Ho…

Mumkin Hai K Tarteeb-E-Waqt Mein Aesa Lamha Bhi Aaye…

K Daastak Ko Hath Tera Uthe Or Mera Dar Na Ho…

Sawal

Posted: April 9, 2015 in Ghazal, Urdu Poetry
Tags:

Usay Apni Zid Ki Fikar Thi…

Mujhe Apne Pyar Ka Khyal Tha…

Na Mil Sake Ham Phir Kabhi…

Wo Hamari Muhabbaton Ka Zawal Tha…

Mere Liye Us Ka Sath Hi Sab Kuch Tha…

Us K Liye Ye Sab Mazaq Tha….

Usay Bas Apni Manzilon Ki Fikar Thi…

Yahan Meri Zindagi Ka Sawal Tha…

Loat Aana…

Posted: December 24, 2014 in Ghazal, Urdu Poetry
Tags: , ,

5Udas Sham Ki Siskiyon Mein,

Kabhi Jo Mera Khyal Aaye,

To Beetay Lamhon Ko Yaad Kar K,

Inhi Fizaaon Mein Loat Aana…

Tum Aaya Karte Thy Khawab Ban Kar,

Kabhi Mehktay Gulab Ban Kar,

Main Khushk Honton Se Jab Pukaron,

Inhi Adaaon Mein Loat Aana…

Meri Wafaon Ka Pas Rakhna,

Meri Duaon Ki Laaj Rakhna,

Main Khali Hathon Ko Jab Uthaon,

Meri Duaon Mein Loat Aana…